(Sab ko apne qaboo mein rakhne wala)
Jo shaks dunia ki muhabbat mein giraftaar ho
Woh kasrat se ess Esm ko parhe tu
Dunia ki muhabbat oss ke dil se
IN SHA ALLAH door ho jaye gee or
Khuda ki muhabbat paida ho jaye gee
Sms Messages and Poetry
(Sab ko apne qaboo mein rakhne wala)
Jo shaks dunia ki muhabbat mein giraftaar ho
Woh kasrat se ess Esm ko parhe tu
Dunia ki muhabbat oss ke dil se
IN SHA ALLAH door ho jaye gee or
Khuda ki muhabbat paida ho jaye gee
Kisi ke dar pe marna chahte hain
Tu kia had se guzarna chahte hain
Falak par jagmagatey yeh sitare
Tere rukh par bikharna chahte hain
Khafa mujh se be sabab naheen woh
Koi elzaam dharna chahte hain
Jamaal onn ke haseen aariz ke sapne
Mere dil mein otarna chahte hain
Jane kitna main jur geya hota
Woh jo mujh mein Bikhar geya hota
So hi parta main kaakh e anjum pe
Subha hote hi ghar geya hota
Dil jo ho ta raqeeb e dil apna
Yaani khud se main lar geya hota
Woh jo hota mere muqaddar mein
Dil, dunia se bhar geya hota
Ooth jo jata wafa ke masnad se
Apne dil se otar geya hota
Woh na aate agar jo pursish ko
Yaqeen mano ke mar geya hota
Choor jata jo teri galioon ko
Kon jane kidhar geya hota
Maslak mera wafa hai wafaoon ki aan hoon
Beetey hoye dinoon ki main ek dastaan hoon
Main shakh e maslihat tu naheen hoon ke jhuk paroon
Main azm o hosley ki ek sangeen chitaan hoon
Pholoon ki Justujoo tujhe gumrah kar na deih
Ess chilchilati dhoop mein bhi saibaan hoon
Ess qafiley mein meri shamoliat bhi hai magar
Salaar e qafila se bhi kuch bad gumaan hoon
Monh phair kar woh chal diye phir bhi hoon mutmain
Ashraf main ess rawaiye pe bhi shadmaan hoon
Phool ke badley ham ko khaar miley
Ishq mein dard be shumar miley
Ham ne paya faqat gham e hijraan
Ham ne chaha tha ham ko pyar miley
Dil tu ghamgeen tha magar yeh kia
Raat rarey bhi ashk baar miley
Itne sarey hajoom mein ham ko
Loog kion kam wafa shayaar miley
Mere nazdeek woh naheen Rana
Kis tarhan lazat e bahar miley