Lab pe Iqrar e Wafa dil mein kadoorat meri
Koi ulfat mein bhi ulfat hai yeh ulfat meri
Bastiaan choor doon fitrat ka taqazaa hai yehi
Kaheen badnaam na ho jaye muhabbat meri
Jis ghari aayi tasawur mein teri zulf e daraaz
Yak baik dekh ke ghabra geyi wahshat meri
Tauba kar loon magar itna tu bata aae zahid
Pas e tauba bhi jo mail ho tabiat meri
Ranj o gham dard o alam hasrat o yaas o armaan
Haft aqleem pe goyea hai hakoomat meri
Shoq e gulzaar kabhi badiyah paimai kabhi
Gul neye roz khilati hai yeh wahshat meri
Thokarein khaoon na kion raah e muhabbat mein Aleem
Umar hai raah e raw e manzil e riffat meri
Be First to Comment